Us raat mein kuch toh tha khaas
Aisa laga tha asmaan ne bhi odh rakha ho taaron zara libaas…
Ghari ki har ek tik tik le rahi thi meri jaan
Pal tham gaya tha, waqt ki is saazish se thi main pareshaan…
Aaj 15 saal baad tumse milne wali thi main
Kisi bhi aahat par darwaze ki or bhaagna shayad kar raha tha yeh bayan…
Saath khelte koodte bachpan kab beeta aur jawani ne dastak di
Yeh ehsaas tab hua tha jab milon faasle the darmiyan…
Tum door zarror the par tumhari har dhadkan jaise mere dil mein dhadak rahi thi
Tumhari har shararat aaj tak gudgudati hai mujhe…
Aisa lagta hai kal ki hi toh baat thi…
Meri choti kheench kar tumhara bhagna
Aur phir der tak aam ke bagichon mein humara jhagarna…
Wo maali ki nazar bacha kar paas ke khet se imli todna
Aur teacher se chhup kar use school ke bahar bechna…
Wo ghanton baahar dhoop mein khelna
Aur mitti ke gharonde banana…
Tumhein apna aaina samajhne lagi thi main
Shayad isliye kai saalon baad khud ko tumhari aankhon se dekhna chahti hoon…
Tumko saath lekar ek baar wapas lautna chahti hun
Jhootha hi sahi par apne aap ko ek dilasa dena chahti hoon…
Kya pata???
Shayad wo aam ke bageeche aur humare banaye mitti ke gharonde
Wahan humara intezaar kar rahe hon…
Tuesday, May 18, 2010
Wednesday, May 12, 2010
KHWAAB…
Us khwaab ka daaman thaamne ki maine naakamyab koshish ki thi
Par who makhmali chadar ki tarah haath se phisal gayi thi...
Wo khwaab jo adhkhuli aankhon se dekhe the
Sach se bhi sachhe se lage the...
Park ki bench par Zindagi aur maut ko saath baithe gappe maarte hue paaya tha
Zameen aur aasmaan ko gale mein haath daal ek saath sair karte hue dekha tha...
Chanda mama aur suraj chachu ko milkar taaron ki shikayat karte suna tha
Bijli karki thi aur pehli baar Phoolon ki baarish dekhi thi…
Samundar mein aag lagi thi aur usko paani se bujhta dekha tha
Goonge ko gaate hue suna tha aur behre ko use sunkar khush hota hua paaya tha...
Itna sundar nazara shayad der tak dekh nahin paati
Isliye aankhen apne aap khul gayi thi...
Palkein geeli thi aur Palkon se girte aansun ke har ek boond ki ek daastaan thi
Ek pal ke liye jo zindagi se bharpoor tha aur agle hi pal woh ba wajood tha...
Us khwaab ne mere dil ke kisi taar ko chua tha jiski jhankaar main sun rahi thi
Par dil ka ek kona dukhi tha…shayad us sapne ko jeena chahta tha…
Kuch sawaal the jo andar hi andar mujhe ghun ki tarah kha rahe the…
Kya wapas wahi khwaab kabhi dekh paaungi main?
Kya koi nazaara de paayega man ko utna hi sukuun?
Woh khwaab aakar chala gaya aur chod gaya ek mithi si chubhan
Apne aap se rahegi yeh shikwa ki kyun jaane se pehle use seene se der tak nahin laga saki main?
kyun use apne paas kaid nahin kar saki main?
Shayad sachhai yahi thi ki…
Us khwaab ka daaman thaamne ki maine naakamyab koshish ki thi
Par who makhmali chadar ki tarah haath se phisal gayi thi…

Sunday, May 9, 2010
Tuesday, May 4, 2010
Shayad Chale Gaye Woh Din…
Us raat ki chaadar par silwate toh bahut thi
Aur har ek silwat ki kahani bhi alag thi…
Roshandaan se chan kar aa rahi chaand ki chaandni
Mere saath padi bistar par alsa rahi thi…
Is lambi raat ne saamne rakhi mombatti ka astitwa chin liya tha usse
Who pighalkar mom ban chuki thi…
Ghari ki sui bhi yakinan mujhse chalawa kar rahi thi
Samay jaise tham sa gaya tha…
Table par rakhi who aadhi bhari paani ki bottle
Kisi khalipan ka ehsaas dila rahi thi…
Parde ko ched kar pahunchi who hawa bhi shayad
Mere kaanon mein kuch kahana chahti thi…
Shayad yeh karna chahti thi bayan
Ki chale gaye who din jab rang-e-mehfil hua karti thi jawan…
Subscribe to:
Posts (Atom)